mauja-e-ḳhūn-e-pareshān  kahāñ  jaatā  hai
mujh  se  aage  mirā  tūfān  kahāñ  jaatā  hai
chaa.e  kī  pyālī  meñ  tasvīr  vahī  hai  ki  jo  thī
yuuñ  chale  jaane  se  mehmān  kahāñ  jaatā  hai
maiñ  to  jaatā  huuñ  bayābān-e-nazar  ke  us  paar
mere  ham-rāh  bayābān  kahāñ  jaatā  hai
baat  yūñhī  to  nahīñ  kartā  huuñ  maiñ  ruk  ruk  kar
kyā  batā.ūñ  ki  mirā  dhyān  kahāñ  jaatā  hai
ghar  badalnā  to  bahāna  hai  bahāna  kar  ke
andar  andar  hī  se  insān  kahāñ  jaatā  hai
dāstāñ-go  kī  nishānī  koī  rakkhī  hai  ki  vo
dāstāñ-goī  ke  daurān  kahāñ  jaatā  hai
ab  to  dariyā  meñ  bañdhe  baiThe  haiñ  dariyā  kī  tarah
ab  kināroñ  kī  taraf  dhyān  kahāñ  jaatā  hai