Shaheen Abbas

mauja-e-KHun-e-pareshan kahan jata hai

Shaheen Abbas

1965

mauja-e-ḳhūn-e-pareshān kahāñ jaatā hai

mujh se aage mirā tūfān kahāñ jaatā hai

maiñ to jaatā huuñ bayābān-e-nazar ke us paar

mere hamrāh bayābān kahāñ jaatā hai

ab to dariyā meñ bañdhe baiThe haiñ dariyā tarah

ab kināroñ taraf dhyān kahāñ jaatā hai

chaa.e pyālī meñ tasvīr vahī hai ki jo thī

yuuñ chale jaane se mehmān kahāñ jaatā hai

dāstāñ-go nishānī koī rakkhī hai ki vo

dāstāñ-goī ke daurān kahāñ jaatā hai

baat yuuñ to nahīñ kartā huuñ maiñ ruk ruk kar

kyā batā.ūñ ki mirā dhyān kahāñ jaatā hai

ghar badalnā to bahāna hai bahāna kar ke

andar andar se insān kahāñ jaatā hai

Top Urdushayar.com