jhagḌe  apne  bhī  hoñ  jab  chāk-garebānoñ  ke
kaam  hote  hue  rah  jaate  haiñ  vīrānoñ  ke
jaise  āñkhoñ  ke  ye  do  til  hoñ  jo  tabdīl  na  hoñ
ġhol  aate  hue  jaate  hue  insānoñ  ke
log  hī  log  uḌe  jaate  haiñ  galiyoñ  galiyoñ
ham  ne  kuchh  naqshe  uchhāle  the  bayābānoñ  ke
āsmāñ  girtā  huā  saaf  nazar  aatā  hai
bālā-ḳhānoñ  meñ  ye  dar  khulte  haiñ  tah-ḳhānoñ  ke
baat  kī  aur  phir  us  baat  kā  matlab  pūchhā
din  bure  bhī  baḌe  achchhe  rahe  dīvānoñ  ke