Shaheen Abbas

tujh mein kitna gum hun aur kitna nazar aata hun main

Shaheen Abbas

1965
tujh meñ kitnā gum huuñ aur kitnā nazar aatā huuñ maiñ
aatā jaatā ā.inoñ ko muñh dikhā jaatā huuñ maiñ
us ke ba.ad aglī qayāmat kyā hai kis ko hosh hai
zaḳhm sahlātā thā aur ab daaġh dikhlātā huuñ maiñ
naqsh-bar-dīvār huuñ aur baat kar saktā nahīñ
aisī hālat meñ bhī jo kahtā huuñ manvātā huuñ maiñ
ḳhāksārī hī nahīñ ye ġham-gusārī bhī to hai
paañv rakhtā huuñ jahāñ miTTī uThā laatā huuñ maiñ
harf ke āvāza-e-āḳhir ko kar detā huuñ nazm
sher kyā kahtā huuñ ḳhāmoshī ko phailtā huuñ maiñ
din Dhale kuchh der Dhal jaatā bhī huuñ sūraj ke saath
shaam hote hī charāġhoñ se ubhar aatā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com