tujh  meñ  kitnā  gum  huuñ  aur  kitnā  nazar  aatā  huuñ  maiñ
aatā  jaatā  ā.inoñ  ko  muñh  dikhā  jaatā  huuñ  maiñ
us  ke  ba.ad  aglī  qayāmat  kyā  hai  kis  ko  hosh  hai
zaḳhm  sahlātā  thā  aur  ab  daaġh  dikhlātā  huuñ  maiñ
naqsh-bar-dīvār  huuñ  aur  baat  kar  saktā  nahīñ
aisī  hālat  meñ  bhī  jo  kahtā  huuñ  manvātā  huuñ  maiñ
ḳhāksārī  hī  nahīñ  ye  ġham-gusārī  bhī  to  hai
paañv  rakhtā  huuñ  jahāñ  miTTī  uThā  laatā  huuñ  maiñ
harf  ke  āvāza-e-āḳhir  ko  kar  detā  huuñ  nazm
sher  kyā  kahtā  huuñ  ḳhāmoshī  ko  phailtā  huuñ  maiñ
din  Dhale  kuchh  der  Dhal  jaatā  bhī  huuñ  sūraj  ke  saath
shaam  hote  hī  charāġhoñ  se  ubhar  aatā  huuñ  maiñ