pahle  to  miTTī  kā  aur  paanī  kā  andāza  huā
phir  kahīñ  apnī  pareshānī  kā  andāza  huā
ai  mohabbat  tere  dukh  se  dostī  āsāñ  na  thī
tujh  sā  ho  kar  terī  vīrānī  kā  andāza  huā
umr  bhar  ham  ne  fanā  ke  tajrbe  ḳhud  par  kiye
umr  bhar  meñ  ālam-e-fānī  kā  andāza  huā
ik  zamāne  tak  badan  bin  ḳhvāb  bin  ādāb  the
phir  āchānak  apnī  uryānī  kā  andāza  huā
tere  hāthoñ  jal  uThe  ham  tere  hāthoñ  jal  bujhe
hote  hote  aag  aur  paanī  kā  andāza  huā
log  merī  band  āñkhoñ  meñ  se  guzre  tab  unheñ
apnī  apnī  ḳhvāb-sāmānī  kā  andāza  havā
ek  gherā  vaqt  kā  hai  dūsrā  nā-vaqt  kā
ḳhud-nigar  kuchh  apnī  nigarānī  kā  andāza  huā
sūrateñ  bigḌīñ  to  apnī  hālatoñ  meñ  aa.e  ham
aa.ina  TuuTā  to  hairānī  kā  andāza  huā
raat  ik  dahlīz  aisī  aa  ga.ī  thī  ḳhvāb  meñ
raat  kuchh  kuchh  apnī  peshānī  kā  andāza  huā