ḳhud  meñ  utreñ  to  palaT  kar  vāpas  aa  sakte  nahīñ
varna  kyā  ham  apnī  gahrā.ī  ko  pā  sakte  nahīñ
ḳhushbueñ  kapḌoñ  meñ  nādīda  chaman-zāroñ  kī  haiñ
ham  kahāñ  se  ho  ke  aa.e  haiñ  batā  sakte  nahīñ
ham  ne  in  galiyoñ  meñ  chalne  kī  ri.āyat  lī  hai  bas
dekh  sakte  haiñ  hameñ  ye  ghar  basā  sakte  nahīñ
ye  bharam  manzar  kā  bhī  hai  aur  pas-manzar  kā  bhī
āḳhirī  naqsh-e-tamāshā  hai  miTā  sakte  nahīñ
naqsha-e-nā-būd  uThā.e  phir  rahe  haiñ  shahr  shahr
phir  rahe  haiñ  aur  bas  aage  batā  sakte  nahīñ
ham  koī  parda  mukammal  kar  rahe  haiñ  der  se
aañkh  chāheñ  bhī  to  tujh  par  se  haTā  sakte  nahīñ
zindagī  ham  terī  jānib  aa  rahe  haiñ  ek  saath
ek  saath  aane  kā  matlab  hai  ki  aa  sakte  nahīñ
saarī  girheñ  khol  kar  bekār  ho  baiThe  to  haiñ
ab  lagāte  haiñ  dobāra  aur  lagā  sakte  nahīñ
intizārī  haiñ  so  bām-o-dar  pe  bhārī  bhī  to  haiñ
raḳhne  bhar  sakte  nahīñ  parde  girā  sakte  nahīñ
alvidā'ī  ik  charāġhāñ  aur  phir  ruḳhsat  hameñ
ab  mazīd  is  raushnī  par  daad  pā  sakte  nahīñ
rahte  rahte  rah  na  jaa.eñ  log  is  tasvīr  ke
ham-qadam  us  ke  haiñ  jis  ke  saath  jā  sakte  nahīñ
haath  se  nikle  hue  nā-vasf  nā-vaqtoñ  ke  ham
haath  aanā  chāhte  haiñ  aur  aa  sakte  nahīñ
terī  jānib  se  uThā  sakte  haiñ  gar  paañv  to  kyā
terī  jānib  se  ham  apnī  ḳhaak  uḌā  sakte  nahīñ