āñkhoñ  se  yuuñ  charāġhoñ  meñ  Daalī  hai  raushnī
ham  jaisī  chāhte  the  banā  lī  hai  raushnī
dariyā  ġhurūb  hone  chalā  thā  ki  aaj  raat
ġharqāb  kashtiyoñ  ne  uchhālī  hai  raushnī
apnī  nashist  chhoḌ  ke  vaañ  rakh  diyā  charāġh
maiñ  ne  zamīn  de  ke  bachā  lī  hai  raushnī
hāthoñ  kā  imtihān  liyā  saarī  saarī  raat
sāñche  meñ  sub.h-o-shām  ke  Dhālī  hai  raushnī
maiñ  ne  kanār-e-shām  guzārī  hai  ek  umr
maiñ  jāntā  huuñ  Dūbne  vaalī  hai  raushnī
kyā  raakh  gir  rahī  hai  nazar  kī  muñDer  se
ḳhālī  diyā  hai  aur  ḳhayālī  hai  raushnī
is  baar  tere  ḳhvāb  meñ  rakkhā  hai  apnā  ḳhvāb
is  baar  raushnī  meñ  sambhālī  hai  raushnī