kuchh  bhī  na  jab  dikhā.ī  de  tab  dekhtā  huuñ  maiñ
phir  bhī  ye  ḳhauf  sā  hai  ki  sab  dekhtā  huuñ  maiñ
āñkheñ  tumhāre  haath  pe  rakh  kar  maiñ  chal  diyā
ab  tum  pe  munhasir  hai  ki  kab  dekhtā  huuñ  maiñ
aahaT  aqab  se  aa.ī  aur  aage  nikal  ga.ī
jo  pahle  dekhnā  thā  vo  ab  dekhtā  huuñ  maiñ
ye  vaqt  bhī  batātā  hai  ādāb-e-vaqt  bhī
is  TūTte  sitāre  ko  jab  dekhtā  huuñ  maiñ
ab  yaañ  se  kaun  de  mirī  chashm-e-talab  ko  daad
jis  fāsle  se  bāb-e-talab  dekhtā  huuñ  maiñ
in  putliyoñ  kā  qarz  chukātā  huuñ  kyā  karūñ
bas  dil  se  dil  milātā  huuñ  jab  dekhtā  huuñ  maiñ
nākām-e-ishq  huuñ  so  mirā  dekhnā  bhī  dekh
kam  dekhtā  huuñ  aur  ġhazab  dekhtā  huuñ  maiñ