Shaheen Abbas

ibtida sa kuchh intiha sa kuchh

Shaheen Abbas

1965

ibtidā kuchh intihā kuchh

chal tamāshā kareñ zarā kuchh

sāmne se ye kā.enāt haTāo

ho rahā hai muġhālta kuchh

sar-ba-sar huuñ salāmtī ke sar

maiñ huuñ raftār-o-hādisa kuchh

ek ḳhatra hai aane jaane meñ

is sarā meñ hai dūsrā kuchh

chaak udhaḌtā hai ḳhaak ukhaḌtī hai

koī hotā hai rūnumā kuchh

aur to kuchh nahīñ hai miTne ko

maiñ maiñ huuñ banā banā kuchh

ye sarakte hue zamīn pe log

ye gunah kuchh aur gilā kuchh

vaqt par aag vaqt par paanī

zindagī bhar tajraba kuchh

jo na terā hai aur na merā hai

phir vo kyā hai tirā mirā kuchh

jab ḳhudā koī nahīñ to kyuuñ

mas.ala ban gayā ḳhudā kuchh

Top Urdushayar.com