rahegā  aql  ke  siine  pe  tā-abad  ye  daaġh
ki  zindagī  ne  bhī  paayā  na  zindagī  kā  surāġh
ajiib  tarah  guzārā  hai  daur-e-tīra-shabī
jalā  jalā  ke  bujhā.e  haiñ  maiñ  ne  kitne  charāġh
hai  jiine  vāloñ  kī  ḳhātir  ye  kaisī  majbūrī
na  zindagī  kā  farāġh  aur  na  zindagī  se  farāġh
ye  kuchh  hamāre  hī  qalb-e-tapīda  ko  hai  ḳhabar
faroġh-e-nūr  se  kyā  kyā  na  jal  bujhe  haiñ  charāġh
hai  raushnī  ke  liye  raushnī  payām-e-ajal
sahar  qarīb  hai  aur  jhilmilā  rahe  haiñ  charāġh
mujhe  batā  ki  hai  us  mai  meñ  kaif-e-mai  kitnā
maiñ  jāntā  huuñ  ki  ḳhālī  nahīñ  kisī  kā  ayāġh
kisī  tarah  sahī  badle  to  rasm-e-pārīna
ugaa.e  jaao  bayābāñ  ujāḌte  chalo  baaġh
dikhā  rahā  huuñ  maiñ  duniyā  ko  dil  kā  ā.īna
ba-īñ  yaqīñ  ki  nahīñ  māhtāb  bhī  be-dāġh
ye  raat  mahfil-e-ādam  pe  hai  garāñ  'hurmat'
bhaḌak  uThe  haiñ  ḳhud  apnī  hī  raushnī  se  charāġh