vo  dil  samo  le  jo  dāman  meñ  kā.enāt  kā  karb
uThā  sakā  na  ḳhud  apne  tasavvurāt  kā  karb
nikalnā  ḳhuld  se  aadam  kā  ban  gayā  kyā  chiiz
ye  zindagī  hai  ki  hai  ik  vārdāt  kā  karb
añdhere  Daste  rahe  sham.a  jhilmilātī  rahī
kahīñ  to  kah  na  sakeñ  zindagī  kī  raat  kā  karb
panāh  ke  liye  ḳhvāboñ  kī  god  DhūñDhtī  hai
hayāt  sah  na  sakī  apne  tajrabāt  kā  karb
baḌā  ajiib  hai  ḳhud  se  ye  ma.arka  apnā
kahāñ  har  ek  se  uTThā  shikast-e-zāt  kā  karb
hai  intizār  meñ  ik  inqalāb  āḳhir  ke
zamīñ  liye  hue  kitne  taġhayyurāt  kā  karb
ye  jiit  kam  hai  ki  ġham  raas  aa  gayā  varna
ḳhushī  ḳhushī  koī  jhelā  hai  apnī  maat  kā  karb
simaT  ke  ban  gayā  hoñToñ  pe  nāla-e-saharī
tamām  din  kī  aziyyat  tamām  raat  kā  karb
jigar-gudāz  the  'hurmat'  kuchh  aur  ġham  bhī  magar
miTā  gayā  hameñ  auj-e-taḳhaiyyulāt  kā  karb