apne  chaman  pe  abr  ye  kaisā  baras  gayā
har  qatra  zahar  ban  ke  fazāoñ  meñ  bas  gayā
sūd-o-ziyāñ  kī  fikr  kā  kis  ko  rahā  dimāġh
muddat  huī  ki  hausla-e-pesh-o-pas  gayā
ab  jāgte  haiñ  apnī  hī  aahaT  se  qāfile
rāh-e-talab  se  sheva-e-bāñg-e-jaras  gayā
ik  sail-e-rañg-o-nūr  se  jal-thal  hai  kā.enāt
kaisā  ye  tere  jalvoñ  kā  bādal  baras  gayā
dikhlā.eñ  ham  shikastagī-e-bāl-o-par  kise
kahte  haiñ  log  mausam-e-qaid-e-qafas  gayā
chāragaro  ye  zahr  utāro  to  baat  hai
tārīkiyoñ  kā  naag  zamāne  ko  Das  gayā
naqsh-e-qadam  kā  bhī  koī  miltā  nahīñ  surāġh
chupke  se  dil  meñ  aa  ke  mire  kaun  bas  gayā
har  lamha  zindagī  se  ibārat  thā  jin  dinoñ
kyā  kyā  na  ham  se  le  ke  vo  daur-e-havas  gayā
'hurmat'  ye  dil  hai  apnī  tabāhī  pe  jis  ko  naaz
vo  phuul  hai  jo  khilne  se  pahle  bikas  gayā