vo  dil  jo  thā  kisī  ke  ġham  kā  mahram  ho  gayā  rusvā
jahān-e-besh-o-kam  meñ  ḳhvāb-e-ādam  ho  gayā  rusvā
na  chauñkā  nik.hat-e-āvāra  kī  rūdād  par  koī
ye  kyuuñ  afsāna-e-parvāz-e-shabnam  ho  gayā  rusvā
dikhā.ī  ahl-e-dil  ko  manzil-e-dār-o-rasan  jis  ne
tumhārī  kaj-kulāhī  kā  vo  aalam  ho  gayā  rusvā
amānat  sīna-e-lāla  meñ  kis  kī  thī  na  ye  pūchho
ki  sa.ī-e-parda-dārī  meñ  mirā  ġham  ho  gayā  rusvā
hai  ā.īne  kī  hairānī  bhī  afsāna-dar-afsāna
tire  asrār-e-mahjūbī  kā  mahram  ho  gayā  rusvā
pasand  aa.ī  ġhazal  ko  'mīr'  kī  āshufta-sāmānī
tirā  rāz-āshnā  ai  zulf-e-barham  ho  gayā  rusvā
ḳhabar  kyā  thī  ki  aañsū  pī  ke  bhī  jiinā  nahīñ  āsāñ
ye  ġham  kam  hai  gudāz-e-sheva-e-ġham  ho  gayā  rusvā
basānā  thā  kisī  hiile  se  duniyā  ke  ḳharābe  ko
ye  aisī  maslahat  thī  jis  pe  aadam  ho  gayā  rusvā
ajab  tarz-e-mudāvā  thā  hamāre  chārasāzoñ  kā
ki  'hurmat'  irtibāt-e-zaḳhm-o-marham  ho  gayā  rusvā