faroġh-e-dīda-varī  kā  zamāna  aayā  hai
diloñ  kī  be-ḳhabarī  kā  zamāna  aayā  hai
ḳhirad  se  kah  do  ki  tanhā  na  kaT  sakegī  ye  raah
junūñ  kī  ham-safarī  kā  zamāna  aayā  hai
pahnāo  lāla-o-nasrīñ  ko  taaj  kāñToñ  kā
tilism-e-ḳhush-nazarī  kā  zamāna  aayā  hai
naved  dī  hai  ye  mahrūmī-e-mohabbat  ne
duā  kī  be-asarī  kā  zamāna  aayā  hai
nikhār  aane  lagā  phir  ḳharāba-e-jāñ  par
ye  kis  kī  jalvagarī  kā  zamāna  aayā  hai
kaho  sabā  se  ye  vārafta-hāliyāñ  chhoḌe
shu.ūr-e-nāma-barī  kā  zamāna  aayā  hai
kahāñ  vo  daur  ki  yak-gūna  be-ḳhudī  māñgeñ
surūr-e-ḳhud-nigrī  kā  zamāna  aayā  hai
bahār  laa.ī  hai  ab  ke  payām  aur  hī  kuchh
diloñ  kī  baḳhiyā-girī  kā  zamāna  aayā  hai
sukūt-e-nīm-shabī  se  guzar  chalo  'hurmat'
ki  nāla-e-saharī  kā  zamāna  aayā  hai