ek  duniyā  kah  rahī  hai  kaun  kis  kā  āshnā
maiñ  hī  vo  thā  jis  ne  ik  duniyā  ko  samjhā  āshnā
pūchhte  haiñ  bujhte  lamhoñ  ke  khañDar  har  shaam  ko
ho  ga.ī  kyā  dil  kī  vo  sham-e-ḳharāba  āshnā
DhūñDhtā  hai  der  se  kho.e  hue  sikke  kī  tarah
māzī-e-ḳhāmosh  ko  imroz  fardā-āshnā
ye  zamīñ  sadiyoñ  pe  jis  kī  aag  ne  badlā  thā  ruup
rafta  rafta  ho  chalī  ik  barg  sho.ala-āshnā
naḳhl-hā-e-rah-guzar  tum  kyā  hameñ  pahchānte
kitne  saa.e  kho  chukā  hai  zauq-e-sahrā-āshnā
kārobār-e-qurbat-o-dūrī  meñ  aksar  ban  ga.e
ajnabī  iḳhlās  gesū  āshnā  nā-āshnā
vus.at-e-dāmāñ  kā  'hurmat'  jā.eza  lenā  paḌā
mahv-e-ġhavvāsī  hai  kab  se  fikr  dariyā-āshnā