Thahregā  vahī  ran  meñ  jo  himmat  kā  dhanī  hai
ye  ma.arka-e-ḳhud-garī-o-ḳhud-shikanī  hai
ho  ḳhair  ki  ai  azmat-e-yazdāñ  tirī  ḳhātir
insān  azal  se  hadaf-e-ahramanī  hai
tevar  hī  mire  bhāñp  liye  logoñ  ne  varna
duniyā  meñ  banā.e  se  kahāñ  baat  banī  hai
pahuñcheñge  tirī  bazm-e-dil-ārā  meñ  bhī  ik  roz
tārīk  ḳhalāoñ  meñ  abhī  ḳhema-zanī  hai
Dartā  huuñ  ki  chupke  se  utar  jaa.e  na  dil  meñ
ye  lamha-e-betāb  ki  neze  kī  anī  hai
ai  ahl-e-junūñ  duur  nahīñ  manzil-e-shīrīñ
haañ  biich  meñ  ik  marhala-e-koh-kanī  hai
minjumla-e-taqsīr  na  ho  ye  bhī  ki  'hurmat'
muddat  huī  be-vaj.h  zamāne  se  Thanī  hai