rah-e-talab  meñ  baḌī  turfagī  ke  saath  chale
kisī  ke  saath  na  the  aur  sabhī  ke  saath  chale
na  ham-safar  koī  paayā  na  rāhbar  chāhā
vo  rāh-rau  haiñ  ki  ham  zindagī  ke  saath  chale
fareb  ḳhud  ko  diye  aur  ḳhud  hī  pachhtā.e
kisī  kā  jo  na  huā  ham  usī  ke  saath  chale
kaho  ki  hotī  hai  ik  chiiz  sar-bulandī  bhī
kahā  ye  kis  ne  ki  ham  sar-kashī  ke  saath  chale
rahe  sharīk-e-safar  e'timād-e-ham-qadmī
ye  kyā  zarūr  hai  koī  kisī  ke  saath  chale
shikasta-pā  hī  sahī  rahravān-e-dard  magar
ye  kam  nahīñ  ki  salāmat-ravī  ke  saath  chale
ḳhud  apnā  soz-e-talab  de  sake  na  jis  kā  saath
dayār-e-ġham  meñ  vo  kis  raushnī  ke  saath  chale
ye  kah  ke  ho  ga.e  ḳhud  se  bhī  ham  judā  'hurmat'
safar  meñ  kaun  kisī  ajnabī  ke  saath  chale