ḳhvāboñ  ke  saath  zehn  kī  añgḌā.iyāñ  bhī  haiñ
ik  raushnī  bhī  hai  ka.ī  parchhā.iyāñ  bhī  haiñ
ye  kā.enāt  ḳhud  bhī  hai  ik  paikar-e-jamīl
aur  kuchh  tire  jamāl  kī  ra.anā.iyāñ  bhī  haiñ
Duubā  huā  huuñ  qulzum-e-ālām  meñ  magar
zer-e-qadam  hayāt  kī  parchhā.iyāñ  bhī  haiñ
jaadū  jagātī  raat  ke  sāyoñ  ke  ās-pās
larzāñ  tumhārī  yaad  kī  pahnā.iyāñ  bhī  haiñ
aatā  nahīñ  shabāb  yūñhī  kā.enāt  par
masrūf  kār-e-ishq  kī  barnā.iyāñ  bhī  haiñ
shām-e-balā  na  mujh  se  churā  is  tarah  nigāh
tanhā  nahīñ  huuñ  maiñ  mirī  tanhā.iyāñ  bhī  haiñ
haiñ  terī  anjuman  meñ  hameñ  ik  fasurda-dil
lekin  hamīñ  se  anjuman-ārā.iyāñ  bhī  haiñ
'hurmat'  faqat  bulandī-e-ehsās  hī  nahīñ
merī  talab  meñ  ruuh  kī  gahrā.iyāñ  bhī  haiñ