vo  aalam  hai  ki  har  mauj-e-nafas  hai  ruuh  par  bhārī
ḳhudā  jaane  ye  jiinā  hai  ki  jiine  kī  adākārī
ḳhudā-vandā  tire  zauq-e-atā  ko  kyā  kahe  koī
milī  hai  ham  se  ḳhufta-qismatoñ  ko  dil  kī  bedārī
Darātā  kyā  dil-e-sarkash  ko  ehsās-e-sazā  lekin
laraz  jaatā  hai  nām-e-afv  se  nāz-e-ḳhatā-kārī
nazar  uTThī  kisī  kī  dil  ne  ik  paiġhām  sā  paayā
ye  lamha  hai  ki  ham  uḌtī  huī  sī  koī  chiñgārī
uThā.e  zindagī  kā  bojh  baḌhtā  jā  rahā  huuñ  maiñ
tamannā-e-subuk-sārī  na  ehsās-e-girāñbārī
miTā.ī  jā.egī  ye  muskurātī  nāchtī  duniyā
azal  se  sirf  ik  din  ke  liye  kyā  kyā  hai  tayyārī
farishte  rashk  se  kyā  kyā  na  takte  haiñ  use  'hurmat'
koī  kartā  hai  pahlī  baar  jab  azm-e-gunahgārī