sūrat-e-sabza-e-be-gāna  chaman  se  guzre
ham  musāfir  kī  tarah  apne  vatan  se  guzre
sahl  hai  na.ara-e-mansūr  magar  sahl  nahīñ
har  koī  marhala-e-dār-o-rasan  se  guzre
lāla-o-gul  ko  tabassum  kī  ziyā  dī  ham  ne
jalva-e-sub.h  kī  mānind  chaman  se  guzre
hai  ye  kyā  raushnī-e-fikr  kī  tīra-baḳhtī
jalva-e-rūh  na  pairāhan-e-tan  se  guzre
vo  kare  tajziya-e-mausam-e-gul  jis  kī  nazar
bazm-e-gul  meñ  hadd-e-nasrīn-o-saman  se  guzre
dil  pe  kyā  guzrī  ye  dil  hī  ko  ḳhabar  hai  lekin
muskurāte  hue  ham  dār-e-mehan  se  guzre
na  kisī  paañv  kī  aahaT  na  koī  naqsh-e-qadam
qāfile  ruuh  ke  yuuñ  kūcha-e-tan  se  guzre
ek  zarre  meñ  kabhī  kho  ga.iiñ  kitnī  kirneñ
kitne  ḳhurshīd  kabhī  ek  kiran  se  guzre
nik.hat-e-gesū-e-jānāñ  bhī  ajab  thī  'hurmat'
ham  tasavvur  meñ  ka.ī  baar  ḳhutan  se  guzre