dil-e-āzurda  ko  bahlā.e  hue  haiñ  ham  log
kitne  ḳhvāboñ  kī  qasam  khaa.e  hue  haiñ  ham  log
ek  aalam  ke  harīf  ek  zamāne  ke  naqīb
jaise  tārīḳh  ke  dohrā.e  hue  haiñ  ham  log
ek  muddat  huī  ham  DhūñDh  rahe  haiñ  ḳhud  ko
apnī  āvāz  ke  bhaTkā.e  hue  haiñ  ham  log
jis  ke  sho.aloñ  se  numū  pā.eñge  kuchh  phuul  na.e
aag  siine  meñ  vo  dahkā.e  hue  haiñ  ham  log
jin  se  bedār  huā  lazzat-e-āzār  kā  zauq
choTeñ  aisī  bhī  ka.ī  khaa.e  hue  haiñ  ham  log
ek  gutthī  jo  sulajh  kar  bhī  na  suljhī  zinhār
us  ko  suljhā  ke  bhī  uljhā.e  hue  haiñ  ham  log
hosh  meñ  rah  ke  bhī  lāzim  hai  ki  mad.hosh  raheñ
raaz  āñkhoñ  kā  tirī  paa.e  hue  haiñ  ham  log
gardish-e-vaqt  koī  aur  Thikānā  batlā
mahfil-e-dost  se  uktā.e  hue  haiñ  ham  log
aañch  aa.ī  na  kaḌī  dhuup  meñ  lekin  'hurmat'
chāñdnī  rātoñ  ke  suno  laa.e  hue  haiñ  ham  log