jaise  jaise  dard  kā  pindār  baḌhtā  jaa.e  hai
e'timād-e-lazzat-e-āzār  baḌhtā  jaa.e  hai
dil  umaDtā  aa.e  hai  miTTī  huī  jaatī  hai  nam
zindagī  par  zindagī  kā  baar  baḌhtā  jaa.e  hai
ye  na  pūchho  dekhtā  jaatā  hai  muḌ  muḌ  kar  kise
ek  dīvāna  ki  sū-e-dār  baḌhtā  jaa.e  hai
kuchh  na  kuchh  honā  hai  āḳhir  tap  ke  kundan  jal  ke  raakh
dil  kī  jānib  sho.ala-e-afkār  baḌhtā  jaa.e  hai
āgahī  kā  sadqa  vājib  hai  uThāo  jām-e-zahr
lamha  lamha  vaqt  kā  isrār  baḌhtā  jaa.e  hai
saḳhtī-e-rāh-e-talab  se  dil  laraztā  hai  magar
mujh  se  aage  jazba-e-bedār  baḌhtā  jaa.e  hai
rafta  rafta  soz-e-hirmāñ  hotā  jaatā  hai  fuzūñ
rafta  rafta  zindagī  se  pyaar  baḌhtā  jaa.e  hai
ye  jahān-e-āb-o-gil  hai  imtihāñ-gāh-e-shu.ūr
ġham  ba-qadr-e-azmat-e-kirdār  baḌhtā  jaa.e  hai
kyā  ḳhabar  'hurmat'  ki  takmīl-e-safar  ho  kis  tarah
iltifāt-e-vādī-e-pur-ḳhār  baḌhtā  jaa.e  hai