tai  kiyā  is  tarah  safar  tanhā
ek  ham  ek  rahguzar  tanhā
kaun  hotā  rafīq-e-tīra-shabī
dil  jalāyā  hai  tā-sahar  tanhā
ḳhairiyat  pūchhne  ko  aa.ī  hai
zindagī  mujh  ko  dekh  kar  tanhā
āfat-e-jāñ  hai  vaz-e-ham-safarī
vaqt  kī  raah  se  guzar  tanhā
dhaḌkanoñ  kā  bhī  hai  ajab  andāz
dil  kī  vaadī  hai  kis  qadar  tanhā
na  milā  dard-āshnā  koī
kaT  gayā  dard  kā  safar  tanhā
dasht  meñ  apnī  hī  tajallī  ke
jhilmilāyā  kiyā  qamar  tanhā
sā.ateñ  detī  hī  rahīñ  āvāz
zindagī  chal  paḌī  kidhar  tanhā
qatl-gāh-e-vafā  milī  ḳhālī
'hurmat'  aa.e  hamīñ  nazar  tanhā