Tanveer Ahmad Alvi

zehn zinda hai magar apne sawalat ke sath

Tanveer Ahmad Alvi

Muzaffarnagar, Uttar pradesh, India

1927-2013

zehn zinda hai magar apne savālāt ke saath

kitne uljhāo haiñ zanjīr-e-rivāyāt ke saath

kaun dekhegā yahāñ din ke ujāloñ sitam

ye sitāre to chale jā.eñge sab raat ke saath

jaane kis moḌ pe manzil pata bhuul ga.e

ham ki chalte rahe gardish-e-hālāt ke saath

vaqt kartā hai bhalā kis se yahāñ husn-e-sulūk

vo bhī is daur meñ qānūn-e-makāfāt ke saath

vo to ḳhanjar thā gale jis ne lagāyā ham ko

varna pesh aatā hai ab kaun mudārāt ke saath

hādse haiñ to unheñ pesh bhī aanā hai zarūr

vo bhī us shoḳh se taqrīb-e-mulāqāt ke saath

kaun suntā hai yahāñ dil kahānī 'tanvīr'

vo bhī ḳhushbūoñ ke mauhūm ishārāt ke saath

Top Urdushayar.com