Arshad Jamal Sarim

dikhati hai jo ye duniya wo baiTha dekhta hun main

Arshad Jamal Sarim

Azamgarh, Uttar pradesh, India

dikhātī hai jo ye duniyā vo baiThā dekhtā huuñ maiñ
hai tuf mujh par tamāsha-bīn ho kar rah gayā huuñ maiñ
bas itnā rabt kaafī hai mujhe ai bhūlne vaale
tirī soī huī āñkhoñ meñ akasr jāgtā huuñ maiñ
na kyuuñ hogī mirī bār-āvrī phir dekhne laa.eq
mohabbat kī mahaktī ḳhaak meñ boyā gayā huuñ maiñ
mirī ābādiyoñ meñ chār-sū bikhrā hai sannāTā
hisār-e-ḳhauf se chāroñ taraf bāñdhā gayā huuñ maiñ
rulātī haiñ mirī yādeñ hamesha ḳhuun ke aañsū
kisī nādār pe guzrā huā ik hādsa huuñ maiñ
musalsal hī baḌhā.ī haiñ kisī kī dhaḌkaneñ maiñ ne
musalsal hī kisī ke zehn se sochā gayā huuñ maiñ
virāsat huuñ maiñ ik Dhaltī huī tahzīb kī 'sārim'
kahīñ khoyā gayā huuñ maiñ kahīñ paayā gayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com