daraḳht  kaise  baḌhegā  agar  na  paanī  de
kisī  ko  paḌh  jo  tire  sher  ko  ravānī  de
agarche  maiñ  ne  to  āb-e-hayāt  māñgā  hai
jo  mai  hī  denī  hai  tū  ne  bahut  purānī  hai
ba-sad  ḳhulūs  mujhe  zahr  de  gayā  hai  vo
ki  jis  se  maiñ  ne  kahā  zindagī  suhānī  de
jo  ek  baar  anal-haq  kī  nazr  kar  de  to
hazār  baar  ḳhudā  tujh  ko  phir  javānī  de
nigah  udaas  hai  de  is  ko  koī  nazzāra
zabāñ  jo  guñg  hai  yārab  use  kahānī  de
zamīñ  jo  bāñjh  hai  ab  us  kī  god  bhī  bhar  de
jo  hoñT  suukh  rahe  haiñ  unheñ  bhī  paanī  de