zindagī  saath  faqat  degī  sahar  hone  tak
kab  ye  sochā  thā  kabhī  mulk-badar  hone  tak
kaun  kab  ruuTh  gayā  kis  ko  kahāñ  bhuul  ga.e
aao  kuchh  yaad  kareñ  ḳhatm  safar  hone  tak
chand  aañsū  jo  tirā  tohfa  hai  lauTā.eñge
haañ  chhupā  rakkhe  haiñ  āñkhoñ  meñ  guhar  hone  tak
mujh  ko  kuchh  paudoñ  kā  zimma  jo  diyā  hai  yārab
yaad  bhī  rakhnā  zarā  un  ke  shajar  hone  tak
āñdhiyāñ  ā.eñgī  tūfān  bhī  dam  toḌeñge
ham  jiye  jā.eñge  phūloñ  se  samar  hone  tak
zindagī  mere  taġhāful  se  to  nārāz  na  ho
tujh  se  kyā  pūchhtā  maiñ  apnī  ḳhabar  hone  tak
us  se  itnā  hī  zarā  pūchh  le  kyā  biit  gayā
dil  ye  kab  ruktā  hai  phir  aañkh  ke  tar  hone  tak
ham  ne  chāhat  ke  kisī  saaz  pe  jo  haath  dharā
tham  gayā  dard  har  ik  dard-e-jigar  hone  tak
zindagī  tujh  se  mohabbat  to  bahut  hai  lekin
ruuTh  jaa.eñ  na  kahīñ  terī  nazar  hone  tak
chaah  jab  aah  se  guzre  to  'rishī'  ban  jaa.e
aur  phir  jī  le  kisī  dasht  ke  ghar  hone  tak