koī  tohmat  ho  mire  naam  chalī  aatī  hai
jaise  bāzār  meñ  har  ghar  se  galī  aatī  hai
tirī  yaad  aatī  hai  ab  koī  kahānī  ban  kar
yā  kisī  nazm  ke  sāñche  meñ  Dhalī  aatī  hai
ab  bhī  pahle  kī  tarah  pesh-rav-e-rañg-o-sadā
ek  muñh-band  sī  be-rañg  kalī  aatī  hai
chal  ke  dekheñ  to  sahī  kaun  hai  ye  duḳhtar-e-raz
roz-e-avval  se  jo  bad-nām  chalī  aatī  hai
ye  mire  karb  kā  aalam  rahe  yārab  ābād
is  zamīñ  se  bū-e-aulād-e-'alī'  aatī  hai