ab  aur  chalne  kā  is  dil  meñ  hausla  hī  na  thā
ki  shahr-e-shab  meñ  ujāle  kā  shā.iba  hī  na  thā
maiñ  us  galī  meñ  gayā  le  ke  zo.am-e-rusvā.ī
magar  mujhe  to  vahāñ  koī  jāntā  hī  na  thā
gudāz-e-jāñ  se  liyā  maiñ  ne  phir  ġhazal  kā  surāġh
ki  ye  charāġh  to  jaise  kabhī  bujhā  hī  na  thā
koī  pukāre  kisī  ko  to  ḳhud  hī  kho  jaa.e
huā  to  hai  magar  aisā  kabhī  sunā  hī  na  thā
kise  kaheñ  ki  rifāqat  kā  daaġh  hai  dil  par
bichhaḌne  vaalā  to  khul  kar  kabhī  milā  hī  na  thā
musāfiroñ  ko  ka.ī  vāhime  satāte  haiñ
Thaharte  kyā  ki  darīchoñ  meñ  to  diyā  hī  na  thā
damak  uThā  thā  vo  chehra  hayā  kī  chādar  meñ
ki  jaise  jurm-e-vafā  us  kā  mudda.ā  hī  na  thā
hamāre  haath  faqat  ret  ke  sadaf  aa.e
ki  sāhiloñ  pe  sitāra  koī  rahā  hī  na  thā