Muhammad Ayyub Zauqi

nigah-e-fitrat mein dar-haqiqat wo zindagi zindagi nahin hai

Muhammad Ayyub Zauqi

nigāh-e-fitrat meñ dar-haqīqat vo zindagī zindagī nahīñ hai
jo dūsroñ ke na kaam aa.e vo aadmī aadmī nahīñ hai
kisī ke jalvoñ kā aks-e-rañgīñ kabhī hai dil meñ kabhī nahīñ hai
maiñ kis tarah maan luuñ ki zauq-e-yaqīñ kī tujh meñ kamī nahīñ hai
phir aur kyā hai agar zavāl-e-ḳhudī-o-ḳhud-āgahī nahīñ hai
dil-o-nazar ko ye kyā huā hai kahīñ bhī āsūdgī nahīñ hai
zabāñ pe rindān-e-kam-nazar kī shikāyat-e-sāqī-e-azal hai
talab sivā ho jo zarf dil se havas hai vo tishnagī nahīñ hai
jo qalb ko zindagī na baḳhshe nazar ko kaif-o-ḳhudī na baḳhshe
vo zauq-e-sajda hai nañg-e-sajda ibādat-o-bandagī nahīñ hai
haqīqatoñ se gurez insāñ kā ek ehsās-e-kamtarī hai
hayāt baḳhshe jo zulmatoñ ko vo raushnī raushnī nahīñ hai
mirā tasavvur hai kā.enātī shu.ūr merā jamāliyātī
mire ḳhayāl-o-nazar meñ 'zauqī' koī bashar ajnabī nahīñ hai
Top Urdushayar.com