zindagī  be-qarār  kaun  kare
ḳhvāhisheñ  be-shumār  kaun  kare
chhoḌ  kar  kaam  ye  mohabbat  kā
ḳhud  ko  be-rozgār  kaun  kare
jab  vafā  hī  nahīñ  zamāne  meñ
ishq  sar  par  savār  kaun  kare
maut  aa.ī  hai  ziist  ko  lene
maut  se  ab  udhār  kaun  kare
haal  jab  pūchhtā  nahīñ  koī
dard  ko  ishtihār  kaun  kare
tīrgī  meñ  adab  kī  duniyā  hai
ab  ye  raushan  dayār  kaun  kare
ḳhaar  hī  ḳhaar  haiñ  'ahad'  jis  par
raah  vo  iḳhtiyār  kaun  kare