Amit Ahad

jo ishq mein guzara lamha pasand aaya

Amit Ahad

Muzaffarabad, Pakistan

1981
jo ishq meñ guzāra lamha pasand aayā
āñkhoñ meñ bas gayā jo chehra pasand aayā
yuuñ to safar kiyā hai kitne hī rāstoñ par
lekin tire hī ghar kā rasta pasand aayā
merī nigāh meñ hai terī talāsh baaqī
merī dīvāngī ko sahrā pasand aayā
be-shak nibhā na paa.e va.ada kiyā jo tum ne
lekin sanam tumhārā va.ada pasand aayā
uThtī hai is liye bhī terī taraf nigāheñ
tere hasīn ruḳh par chashma pasand aayā
ġhusse meñ lag rahī ho tum aur ḳhūb-sūrat
dil ko bahut tumhārā naḳhra pasand aayā
kuchh aur dekhne kī hasrat rahī na baaqī
jab se sanam tumhārā chehra pasand aayā
ho jā.egī mukammal ab to ġhazal yaqīñ hai
tere hasīñ laboñ kā misra pasand aayā
be-shak bahut shikāyat tujh ko hai is jahāñ se
phir bhī 'ahad' ye terā lahja pasand aayā
Top Urdushayar.com