hastī  ik  naqsh-e-in.ikāsī  hai
ye  haqīqat  nahīñ  qayāsī  hai
zauq  tishna  hai  ruuh  pyāsī  hai
saarā  māhaul  hī  siyāsī  hai
khub  ga.ī  dil  meñ  har  adā  us  kī
kaj-adā.ī  bhī  ḳhush-adā  sī  hai
dil  hai  afsurda  to  bahār  kahāñ
baaġh  meñ  har  taraf  udāsī  hai
un  ko  pā  kar  qarār  aa.egā
ahl-e-dil  ye  bhī  ḳhush-qayāsī  hai
sau  hijāboñ  meñ  be-hijāb  hai  husn
sau  libāsoñ  meñ  be-libāsī  hai
mudda.ā  tak  bayāñ  nahīñ  hotā
bad-havāsī  sī  bad-havāsī  hai
un  ko  dekhā  nahīñ  'figār'  magar
un  ke  jalvoñ  se  rū-shanāsī  hai