shohrat-e-tarz-e-fuġhāñ  aam  huī  jaatī  hai
koshish-e-zabt  bhī  nākām  huī  jaatī  hai
mast  haiñ  aur  talab-e-jām  huī  jaatī  hai
be-ḳhudī  hosh  kā  paiġhām  huī  jaatī  hai
muskurātā  hai  hasīñ  parda-e-gulshan  meñ  koī
aur  kalī  muft  meñ  badnām  huī  jaatī  hai
qaid  meñ  bhī  hai  asīroñ  kā  vahī  josh-e-amal
mashq-e-parvāz  tah-e-dām  huī  jaatī  hai
toḌ  kar  dil  nigah-e-mast  na  pher  ai  saaqī
bazm  kī  bazm  hī  be-jām  huī  jaatī  hai
lab  jo  khole  to  gulistāñ  meñ  kalī  kaun  kahe
chup  bhī  rahtī  hai  to  badnām  huī  jaatī  hai
mujh  ko  le  jā.egī  manzil  pe  mirī  sub.h-e-yaqīñ
laakh  raste  meñ  mujhe  shaam  huī  jaatī  hai
nāvak-andāzī-e-jānāñ  kā  asar  hai  ki  'figār'
ek  duniyā  mirī  hamnām  huī  jaatī  hai