hadīs-e-soz-o-sāz-e-sham-o-parvāna  nahīñ  kahte
ham  apnā  hāl-e-dil  kahte  haiñ  afsāna  nahīñ  kahte
vahī  mai-nosh  rāz-e-bāda-e-ulfat  samajhte  haiñ
jo  mastī  ko  rahīn-e-jām-o-paimāna  nahīñ  kahte
sa.ādat  soz-e-dil  kī  bhī  baḌī  mushkil  se  miltī  hai
sar-e-mahfil  har  ik  sho.ale  ko  parvāna  nahīñ  kahte
hamārā  TuuTā  sāġhar  hī  hamāre  kaam  aa.egā
kisī  ke  zarf  ko  ham  apnā  paimāna  nahīñ  kahte
ye  kaisā  inqalāb  aayā  jahān-e-be-niyāzī  meñ
ki  vo  bhī  apne  dīvāne  ko  dīvāna  nahīñ  kahte
'figār'  ash.ār  meñ  apne  haiñ  raqsāñ  shoḳhiyāñ  ġham  kī
kalī  kī  dāstāñ  phūloñ  kā  afsāna  nahīñ  kahte