tum  harīm-e-nāz  meñ  baiThe  ho  begāne  bane
justujū  meñ  ahl-e-dil  phirte  haiñ  dīvāne  bane
sab  ko  saaqī  ne  nahīñ  baḳhshā  dil-e-dard-āshnā
jitne  ahl-e-zarf  the  utne  hī  paimāne  bane
jalva-e-husn  aur  soz-e-ishq  donoñ  ek  haiñ
sham.a  kī  lau  thartharāne  hī  se  parvāne  bane
mauj-e-tūfāñ-ḳhez  uTh  kar  chhīn  le  sāhil  kī  aas
nāḳhudā  ke  aate  aate  kyā  ḳhudā  jaane  bane
dam-ba-ḳhud  hai  tere  aage  e'tibār-e-aql-o-hosh
hosh  vaale  jab  baḌhe  had  se  to  dīvāne  bane
dekh  le  zāhid  mirī  raushan-zamīrī  kī  numūd
ek  ā.īne  se  kitne  ā.ina-ḳhāne  bane
ai  'figār'  afsāna-e-dair-o-haram  kā  zikr  kyā
is  haqīqat  ke  na  jaane  kitne  afsāne  bane