kisī  apne  se  hotī  hai  na  begāne  se  hotī  hai
jo  ulfat  ek  dīvāne  ko  dīvāne  se  hotī  hai
subū  se  jaam  se  miinā  se  paimāne  se  hotī  hai
mohabbat  mai  se  ho  kar  saare  mai-ḳhāne  se  hotī  hai
koī  qissa  ho  koī  vāqi.a  koī  hikāyat  ho
tasallī  dil  ko  dard-e-dil  ke  afsāne  se  hotī  hai
mirī  tauba  se  kah  do  vo  bhī  aa  kar  shauq  se  sun  le
ajab  āvāz  paidā  dal  ke  paimāne  se  hotī  hai
nazar  se  chhupne  vaale  dil  se  āḳhir  kyuuñ  nahīñ  chhupte
ye  kaisī  be-hijābī  ā.ina-ḳhāne  se  hotī  hai
bahār-e-chañd-roza  se  koī  māñge  to  kyā  māñge
ḳhizāñ  ko  bhī  nadāmat  haath  phailāne  se  hotī  hai
ghaTā.eñ  ġham  kī  chhaT  jaatī  haiñ  un  ke  muskurāne  se
ki  jaise  sub.h  paidā  raat  Dhal  jaane  se  hotī  hai
'figār'  ehsās-e-dil  meñ  har  taraf  kāñTe  hī  kāñTe  haiñ
yahī  taskīn  gulshan  meñ  bahār  aane  se  hotī  hai