sa.ī-e-ġhair-hāsil  ko  mudda.ā  nahīñ  miltā
be-niyāz  dil  ban  kar  dekh  kiyā  nahīñ  miltā
zindagī-e-rafta  kā  kuchh  patā  nahīñ  miltā
ḳhāk-e-pā  to  miltī  hai  naqsh-e-pā  nahīñ  miltā
us  kā  aa.ina  hai  dil  jā-ba-jā  nahīñ  miltā
dil  meñ  jab  ho  tārīkī  phir  ḳhudā  nahīñ  miltā
āmad-e-bahārāñ  kā  ik  payām  laane  se
kyuuñ  tirā  dimāġh  āḳhir  ai  sabā  nahīñ  miltā
ā.ina-ba-ā.īna  ham  ne  dekh  Daale  dil
ek  sā  zamāne  meñ  dūsrā  nahīñ  miltā
jo  tirī  nigāhoñ  se  be-piye  milā  saaqī
laakh  jaam  pī  kar  bhī  vo  mazā  nahīñ  miltā
ḳhizr-e-rāh  ne  kitne  mīr-e-kārvāñ  luuTe
haa.e  vo  jo  kahte  haiñ  rahnumā  nahīñ  miltā
us  kī  aur  manzil  hai  merī  aur  manzil  hai
shaiḳh  se  'figār'  apnā  rāsta  nahīñ  miltā