aarzū  hasrat-e-nākām  se  aage  na  baḌhī
fikr  andesha-e-anjām  se  aage  na  baḌhī
sū-e-manzil  kabhī  do  gaam  se  aage  na  baḌhī
zindagī  maut  ke  ilzām  se  aage  na  baḌhī
zulf-o-ruḳh  ke  sahar-o-shām  se  aage  na  baḌhī
āshiqī  rahguzar-e-ām  se  aage  na  baḌhī
rah  ga.ī  rif.at-e-parvāz  kī  hasrat  dil  meñ
par-fishānī  qafas-o-dām  se  aage  na  baḌhī
manzil-e-be-ḳhudī-e-shauq  kī  azmat  ma.alūm
tishna-kāmoñ  kī  nazar  jaam  se  aage  na  baḌhī
kitnī  shāmeñ  ga.iiñ  aur  kitne  savere  aa.e
nigah-e-muntazir  ik  shaam  se  aage  na  baḌhī
pākī-e-nafs  kī  azmat  kā  to  kyā  zikr  'figār'
zohd  kī  baat  bhī  ehrām  se  aage  na  baḌhī