jur.at-e-ishq  havas-kār  huī  jaatī  hai
be-piye  tauba  gunahgār  huī  jaatī  hai
dil  hai  afsurda  to  be-rañg  hai  har  rañg-e-bahār
bū-e-gul  bhī  ḳhalish-e-ḳhār  huī  jaatī  hai
bāvajūde-ki  junūñ  par  haiñ  ḳhirad  ke  pahre
phir  bhī  zanjīr  kī  jhankār  huī  jaatī  hai
har  nafas  mauj-e-fanā  tere  thapeḌoñ  ke  tufail
kashti-e-umr-e-ravāñ  paar  huī  jaatī  hai
jo  namāz  aaj  sar-e-dār  adā  kī  maiñ  ne
sajda-e-shukr  kā  me.aar  huī  jaatī  hai
jitnī  āsāniyāñ  hotī  haiñ  farāham  din  raat
zindagī  utnī  hī  dushvār  huī  jaatī  hai
jab  se  dekhā  hai  kisī  ke  ruḳh-e-raushan  ko  'figār'
aañkh  har  jalve  se  bezār  huī  jaatī  hai