hāsil-e-zabt-e-fuġhāñ  nākām  hai
ab  to  ḳhāmoshī  pe  bhī  ilzām  hai
koī  āvāz-e-shikast-e-jām  hai
tauba  tauba  har  taraf  kohrām  hai
ye  bhī  faiz-e-gardish-e-ayyām  hai
sub.h  hai  apnī  na  apnī  shaam  hai
dil  huā  tark-o-talab  se  be-niyāz
ab  yahāñ  ārām  hī  ārām  hai
bahr-e-tūfāñ-ḳhez  kā  sāhil  kahāñ
ishq  kā  āġhāz  be-anjām  hai
rañj  koī  shai  na  koī  shai  ḳhushī
muḳhtalif  ehsās  kā  ik  naam  hai
phir  kisī  ne  aane  kā  va.ada  kiyā
sub.h  se  phir  intizār-e-shām  hai
shā.eroñ  meñ  yuuñ  to  apnā  bhī  'figār'
naam  hai  lekin  barā.e  naam  hai