chaman  apne  rañg  meñ  mast  hai  koī  ġham-gusār-e-digar  nahīñ
ki  hai  shabnam  ashk-fishāñ  magar  gul-e-tar  ko  koī  ḳhabar  nahīñ
ġham-e-zindagī  kā  ilaaj  to  kabhī  maut  se  bhī  na  ho  sakā
ye  vo  saḳht  qaid-e-hayāt  hai  kisī  tarah  jis  se  mafar  nahīñ
mire  paas  jo  bhī  thā  luT  gayā  na  vo  maiñ  rahā  na  vo  dil  rahā
kisī  aur  shai  kā  to  zikr  kyā  ki  ab  aah  meñ  bhī  asar  nahīñ
ye  tasavvurāt  kī  vus.ateñ  ye  taḳhaiyyulāt  kī  rif.ateñ
vahāñ  jalve  dekh  rahā  huuñ  maiñ  jahāñ  iḳhtiyār-e-nazar  nahīñ
tire  husn  kā  ye  kamāl  hai  ki  ḳhud  aap  apnī  misāl  hai
vo  jamāl  hī  to  jamāl  hai  jo  kisī  kā  aks-e-nazar  nahīñ
jo  haiñ  be-amal  vo  haiñ  bā-amal  jo  haiñ  be-hunar  vo  haiñ  bā-hunar
ajab  inqilāb-e-zamāna  hai  kahīñ  qadr-e-ahl-e-hunar  nahīñ
mujhe  ai  'figār'  na  mil  sakā  koī  lamha  sub.h-e-nashāt  kā
mirī  zindagī  hai  vo  shām-e-ġham  ki  jo  rūshanās-e-sahar  nahīñ