tūfāñ  se  bach  ke  dāman-e-sāhil  meñ  rah  gayā
mushkil  ke  ba.ad  aur  bhī  mushkil  meñ  rah  gayā
ik  shor  thā  jo  gosha-e-mahfil  meñ  rah  gayā
ik  dard  thā  jo  dil  se  uThā  dil  meñ  rah  gayā
ab  vo  nigāh-e-nāz  huī  mā.il-e-karam
jab  koī  mudda.ā  na  mire  dil  meñ  rah  gayā
manzil  mire  qarīb  se  ho  kar  guzar  ga.ī
aur  maiñ  talāsh-e-jāda-e-manzil  meñ  rah  gayā
manzil  fanā-e-zauq-e-talab  kā  maqām  thī
achchhā  huā  maiñ  sarhad-e-manzil  meñ  rah  gayā
allāh-re  jazb-e-ishq  ki  husn-e-nigāh-e-qais
ik  naqsh  ban  ke  parda-e-mahmil  meñ  rah  gayā
naala  to  ḳhair  nañg-e-ġham-e-ishq  thā  magar
naġhma  bhī  soz-o-sāz  kī  mahfil  meñ  rah  gayā
saare  hijāb-e-husn  nigāhoñ  se  haT  ga.e
ik  aa.ina  zarūr  muqābil  meñ  rah  gayā
mujh  se  ye  pūchhtī  haiñ  mirī  hichkiyāñ  'figār'
ab  kitnā  fāsla  tirī  manzil  meñ  rah  gayā