rañg  kahāñ  hai  saayā  sā  hai
naqsh  kahāñ  hai  dhokā  sā  hai
sub.h  kī  rañgat  zardī-mā.il
shaam  nahīñ  hai  dhaḌkā  sā  hai
dil  kā  ḳhuun  huā  ho  shāyad
duur  pare  jo  kohrā  sā  hai
sail-e-ishq  thamā  kab  hogā
dariyā  hai  aur  chaḌhtā  sā  hai
lab  us  ke  jo  khulte  dekhe
ek  jahāñ  kuchh  hañstā  sā  hai
asl  meñ  naqsh-e-kaif-e-hastī
faanī  sā  hai  miTtā  sā  hai
husn  aur  ishq  haiñ  donoñ  kāfir
donoñ  meñ  ik  jhagḌā  sā  hai
aao  pyaar  se  dho  leñ  us  ko
naqsh-e-jahāñ  kuchh  mailā  sā  hai