surūr-e-ishq  kī  mastī  kahāñ  hai  sab  ke  liye
vo  mujh  meñ  jazb  huā  aa  ke  ek  shab  ke  liye
vo  ek  karb-e-hasīñ  jo  mujhe  huā  hai  atā
na  tere  ruḳh  ke  liye  hai  na  tere  lab  ke  liye
kabhī  to  ulTe  sar-e-ām  vo  naqāb  apnī
taras  rahe  haiñ  sabhī  bāda-e-inab  ke  liye
tire  visāl  kī  kab  aarzū  rahī  dil  ko
ki  ham  ne  chāhā  tujhe  shauq-e-be-sabab  ke  liye
dil-e-hazīñ  ki  do-ālam  nahīñ  bahā  jis  kī
luTāyā  maiñ  ne  ise  terī  ek  chhab  ke  liye
vahī  kiran  jo  sar-e-charḳh  rah  ga.ī  tanhā
vo  sog  ban  ga.ī  tāroñ  ke  har  tarab  ke  liye
'azīm'  ishq-e-shah-e-do-sarā  basā  dil  meñ
vahī  ajam  ke  liye  hai  vahī  arab  ke  liye