karb-e-hijrāñ  zi-bas  hai  kyā  kiije
ham  ko  terī  havas  hai  kyā  kiije
ne  dimāġh-e-visāl  hai  ham  ko
kuchh  unheñ  pesh-o-pas  hai  kyā  kiije
hijr  meñ  us  nigār-e-tābāñ  ke
lamha  lamha  baras  hai  kyā  kiije
nighat-e-gul  ke  ābgīnoñ  meñ
marg-e-shīrīñ  kā  ras  hai  kyā  kiije
garche  darvesh  hai  'azīm'  magar
us  ko  tujh  se  bhī  mas  hai  kyā  kiije