biich  diloñ  meñ  utrā  to  hai
dard  tirā  albelā  to  hai
ruup  tirā  ai  rāj-kumārī
jaise  merī  rachnā  to  hai
chāñd  ko  tum  āvāz  to  de  lo
ek  musāfir  tanhā  to  hai
srījan-hārā  srījan-hārā
tujh  bin  bālak  bilkā  to  hai
sirr-e-ālam  kuchh  kuchh  ham  ne
sochā  to  hai  jaanā  to  hai
kitnī  sub.heñ  barham  hoñgī
sho.ala  imshab  bhaḌkā  to  hai
kahne  vaale  kahtā  jā  tū
sunñe  vaalā  suntā  to  hai
muzd  kabhī  barbād  na  hogī
nazd-o-dūr  ye  charchā  to  hai
marg  ko  yuuñ  be-nām  na  samjho
ek  taḳhayyul  ujlā  to  hai
sub.h-e-ishq  akelī  kab  hai
shām-e-ġham  kā  pahrā  to  hai
maggham  maggham  pinhāñ  pinhāñ
baat  kā  afsūñ  gahrā  to  hai
ḳhvāb  sahī  gar  naqsh-e-ālam
insāñ  aatā  jaatā  to  hai
khoj  meñ  us  kī  barsoñ  phir  ke
chāñd-nagar  pahchānā  to  hai
raste  baste  baaġh  meñ  yaaro
marg  kā  har-dam  khaTkā  to  hai
terā  'azīm'  ai  jān-e-ālam
'mīr'  kī  lai  meñ  gaatā  to  hai