Azeem Qureshi

sahra ka koi phul moattar to nahin tha

Azeem Qureshi

sahrā kā koī phuul mo.attar to nahīñ thā
thā ek chhalāvā koī manzar to nahīñ thā
phir kyuuñ tirī tasvīr Dhalī ruuh meñ merī
afsūñ tirī āñkhoñ kā musavvar to nahīñ thā
ban kar mirā apnā vo banā hasrat-e-jāved
thā ḳhaak kā putlā hī muqaddar to nahīñ thā
maiñ bhī tirī ḳhalvat kā koī naaz churātā
aisā koī qismat kā sikandar to nahīñ thā
afsāna tirī zulf kā ai jān-e-tamannā
maiñ kaise sunātā mujhe azbar to nahīñ thā
talḳhāba-e-dil thā ki havādis kā sharar thā
fariyād na kartā koī patthar to nahīñ thā
ḳhud aag meñ apnī hī maiñ jaltā rahā akasr
bargashta maiñ tujh se mire dāvar to nahīñ thā
ham ne bhī 'azīm' aaj ġhazal terī sunī hai
uslūb-e-bayāñ terā muassar to nahīñ thā
Top Urdushayar.com