Azeem Qureshi

wo shoKH dil-o-jaan ki tamanna to na nikla

Azeem Qureshi

vo shoḳh dil-o-jāñ kī tamannā to na niklā
sho.ala to na niklā vo sharārā to na niklā
mahsūs kiyā dard ke har ruup meñ us ko
āvāz kā afsūñ kabhī jhūTā to na niklā
mahrūmī-e-jāved ne donoñ hī ko maarā
ye rāz-e-mohabbat koī gahrā to na niklā
ye dil kā ḳharāba hī tirī rāhguzar thī
ka.aba to na niklā vo kalīsā to na niklā
vo mere muqaddar kī syāhī thā sarāpā
nūr-e-shab-e-mahtāb sunahrā to na niklā
ham bhī kisī shīrīñ ke liye ḳhāna-badar the
farhād rah-e-ishq meñ tanhā to na niklā
is meñ tirī ḳhalvat kā har ik rañg hai paayā
ye chāñd sar-e-charḳh akelā to na niklā
pahle se baḌhī aur ġham-e-ishq kī talḳhī
tū bhī mire dam-sāz masīhā to na niklā
andāz-e-bayāñ terā 'azīm' aur hī kuchh hai
dekhe sabhī fankār pa tujh sā to na niklā
Top Urdushayar.com